Ishaq jis ki koi intehaa nii


          Friends aaj me aap logo se aik story share kar raha hoon jo k mere aik friend ne likki hai mjhe to bht acchi lagi ab aap logo k feed back se pata chale ga k ye kitni acchi story hai..so feed back dena na bhoolna..

              1 larki thi Nayab jo k bht hi zyada loving or caring thi har waqt muskurati rehti thi jese usne kabhi dukh or gham dekhe hi na hoo. lekin aik din uski mulaqat aik larke Ali se hoti hai jo k by nature Nayab ko bht accha lagta hai or wo Nayab se bht acche tareeqe se baat karta hai.. Nayab ko Ali aam larkon se hat k lagta hai or yehi waja hoti hai k Ali Nayab ko kafi attrect karta hai or Nayab attract hoti chali jati hai. Nayab ko Ali ki ankhon me kuch alag sa dikhta hai or Nayab us larke ko jan;ne ki koshish karti hai or ahista ahista wo dono aik dosre k close aate hai or unke darmian dosti ka relation ban jata hai. or dosti is had tak barh jati hai ko wo aik doosre k razdar ban jate hai or aik doosre k bare me har baat jante hain. acchi buri har bat, or Nayab Ali se itna inspire hoti hai k uske dil me dosti k ilawa aik or feeling Ali k lie peda hojati hai. or wo Ali se pyar karne ki ghalti kar bet'ti hai.
                    Or Nayab ka pyar Ali k lie is had tak barh jata hai k wo khud se begani hojati hai use bus Ali ki fiker hoti hai. Ali koi aam larka ni hota or na hi uski Nayab k bare me koi ghalat intention hoti hai wo use aik accha dost or razdar samajhta hai or us se dil ki batain share karta hai kher Ali ki life me kafi ups and down aate rehte hain jis ki waja se wo kafi upset hota hai or Nayab se apne dukh share karta hai. Nayab usko khush karne ki har mumkin koshish karta hai.or wo usko khush karne mi itni magan hoti hai k pata ni kab us ke ander involve hojati hai.
                  ik din Ali Nayab ko batata hai k wo Fiza se bht Pyar karta hai or usme bht zyada involve hai lekin us se koi contact na hone ki waja se use bata ni sakta. Nayab jis ka zindagi ka mqsad hi Ali ki khushi hoti hai wo mehsoos karti hai k shayed Ali ki zindagi me dukh ki aik waja yeh b hai or wo Fiza ko Ali ki feelings bata deti hai or koshish kar k Ali or Fiza k darmian friendship karwa deti hai.
                 Nayab ko yeh pata hota hai k wo kis had tk Ali me involve hogai hai or uske lie Ali ko kisi or k hawale karna kitna takleef deh imtihaan hoga, aisa hi hota hai k Nayab dukh or ghamon ki gehri khaai me gir jati hai or Ali ko feel hota hai k Nayab k duk or takleefon ki waja usk Fiza se friendship hai. Aik raat Ali ko pata chalta hai or wo decide kar leta hai k wo Fiza se koi contact ni rakke ga q k Ali ni chahta k wo kis ko takleef de k apni khushi hasil kare. Nayab Ali ko samjhati hai or aik bar phir dil pe patther rak kar Ali ko convece kar leti hai or Ali ko ghalti karne se rok leti hai.
                 Nayab Ali ko rok deti hai or usko kehti hai k "tmne soch b kese lia k main tmhari khushion ki qurbani mangoongi?" Lekin us din k bad Nayab ki zindagi me koi b khushi ka din ni aata wo dukh or ghan ki chadar orh leti hai. lekin Ali or Nayab ka contact barkarar rehta hai or Ali ko yeh b feel b hota hai k Nayab Uski waja se upset hota hai. lekin wo Fiza ko b time deta hai.
               Waqt guzarta hai or akhit kaar Fiza or Ali k darmian Dosti Pyar ki shakal le leti hai or Nayab Ali ki khushi k lie apne dukh chupane ki bht kioshish karti hai, ab Nayab k ghar wale uski shadi teh kardeta hai or Nayab chup chaap us rishte ko accept kar leti hai or doosri taraf Ali or Fiza ki shadi hojati hai or wo aik doosre k sath bht khush hote hai.
                Nayab Ali se akser kaha karti thi k jis din contact break hua us din life se contact b break hojae gga. Or Ali uski married life kharab nhi karna chahta to wo Nayab se aik wada leta hai k Nayab ki shadi k bad unka contact khatam hojae ga or us baat pe koi b zin nhi karni. Nayab maan jati hai k jab tk shadi nhi hoti tab tak to contact rahe bad ki bad me dekhi jae gi. Ab Nayab ki shadi ki date fix hojati hai or achanak Nayab ki tabiat kharab hojati hai sab bht pareshan hojate hain or usko hospitalized kar dia jata hai waha yeh pata chalta hai k Nayab ko blood cancer hai or wo b last stage per. Doctors kehte hain k ab kuch nhi hosakta aap isko ghar le jaao or jo chand din iske pas hai un dino ko iske lie qeemti banao,Q k doctors k mutabiq Nayab k pas taqreeban 1 month hota hai.
               Nayab k ghar wale is baat ko chupa dete hain or sochte hain k iski shadi karte hai kia pata yeh thek hojae. Lekin Nayab ki tabiat din ba din kharab hoti jati hai or mehendi ki raat shadeed tabiat kharab hoti hai or usko hospital shift kar dia jata hai. hospital me Nayab apne ghar walo se request karti hai k wo usko Ali se milne dain or uske ghar wale ALi ko bhula late hain.
              Saari raat Nayab Ali se batain karti hai or akhir me yeh kehti hai k "Ali tmhe yaad hai mene tmhee kaha k jis din hamara contact break hua usi din mera life se b contact khatam hojae ga aaj hamara contact break hona tha or dekho mera life se b contact break horaha hai." 
             Ali ki ankhon me aansoo aate hain or wo apni aankhon se aanso hatane k lie apni aankhon pe hath rakta hai or jab aankhen kholta hai to Nayab apni zindagi ki race haar chuki hoti hai. 
             Nayab aik aisi Larki jo k apne naam ki tarah nayab thi auj aisi larki jis ne mhabbat me kabhi b hasil karne ki justujoo nhi ki. wo hamesha Ali ko khush rakna chahti thi.Nayab saari zindagi khud to khoon k ansu roti rahi lekin Ali khush rakka, khud kanton pe chali per Ali k lie phool bichae,
             Aisa hi hua k Nayab Ali ki zindagi khushion se bhar k khud hamesha k lie khamosh hogai..

 
Or akhir kaar aik pari jis ne pyaar banta or chali gai,,,,,


i will upload english version of this story soon..........

0 comments:

Post a Comment

 

Blogger news

Blogroll

About